na aarzu na koi muddaa zaruri hai
na aarzū na koī mudda.ā zarūrī hai
ab un kā aur mirā sāmnā zarūrī hai
jahāñ-jahāñ se ye guzre haiñ ishq ke maare
vahāñ vahāñ to tirā naqsh-e-pā zarūrī hai
tujhe maiñ dekh ke phir aur kis ko dekhūñgā
nazar nazar bhī rahe ab ye kyā zarūrī hai
maqām-e-sabr-o-razā imtihān-e-dār-o-rasan
har ik ke hisse meñ aa.e ye kyā zarūrī hai
dil āshnā-e-mohabbat huā to hai lekin
is ibtidā kī magar intihā zarūrī hai
jo dam hai aaj ġhanīmat hai dosto varna
ho is ke baad mulāqāt kyā zarūrī hai
ye lakhna.ū hai tumheñ kuchh ḳhabar bhī hai 'zamzam'
kisī bhī rang meñ ho marsiya zarūrī hai
na aarzu na koi muddaa zaruri hai
ab un ka aur mera samna zaruri hai
jahan-jahan se ye guzre hain ishq ke mare
wahan wahan to tera naqsh-e-pa zaruri hai
tujhe main dekh ke phir aur kis ko dekhunga
nazar nazar bhi rahe ab ye kya zaruri hai
maqam-e-sabr-o-raza imtihan-e-dar-o-rasan
har ek ke hisse mein aae ye kya zaruri hai
dil aashna-e-mohabbat hua to hai lekin
is ibtida ki magar intiha zaruri hai
jo dam hai aaj ghanimat hai dosto warna
ho is ke baad mulaqat kya zaruri hai
ye lakhnau hai tumhein kuchh KHabar bhi hai 'zamzam'
kisi bhi rang mein ho marsiya zaruri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.