Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na aasman ke hue aur na hum zamin ke rahe

Neeraj Naveed

na aasman ke hue aur na hum zamin ke rahe

Neeraj Naveed

MORE BYNeeraj Naveed

    na āsmāñ ke hue aur na ham zamīñ ke rahe

    kisī se 'ishq huā phir na ham kahīñ ke rahe

    vo pal na lauT ke ā.eñge zindagī meñ kabhī

    jo merī haañ se ziyāda tirī nahīñ ke rahe

    phir aisā rishta nibhānā sazā ke jaisā hai

    kisī ke saath jo koī binā yaqīñ ke rahe

    ḳhudā ko bhuul ke maanā thā pyaar ko ḳhudā

    na ham ko pyaar hāsil huā na diiñ ke rahe

    base haiñ shahr meñ par dil se gaañv niklā nahīñ

    yahāñ pe rah ke bhī ham 'umr bhar vahīñ ke rahe

    kisī ko dil meñ basā lo ki ho ga.e khanDar

    vo sab makān jo aksar binā makīñ ke rahe

    na aasman ke hue aur na hum zamin ke rahe

    kisi se 'ishq hua phir na hum kahin ke rahe

    wo pal na lauT ke aaenge zindagi mein kabhi

    jo meri han se ziyaada teri nahin ke rahe

    phir aisa rishta nibhana saza ke jaisa hai

    kisi ke sath jo koi bina yaqin ke rahe

    KHuda ko bhul ke mana tha pyar ko hi KHuda

    na hum ko pyar hi hasil hua na din ke rahe

    base hain shahr mein par dil se ganw nikla nahin

    yahan pe rah ke bhi hum 'umr bhar wahin ke rahe

    kisi ko dil mein basa lo ki ho gae khanDar

    wo sab makan jo aksar bina makin ke rahe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now