na aasman mein zamin mein na kaenat mein hai
na āsmāñ meñ zamīñ meñ na kā.enāt meñ hai
vo husn jo ki azal hī se terī zaat meñ hai
ye rang-o-nūr ye ḳhushbū ye mauj-hā-e-bahār
masarratoñ kā ḳhazāna rah-e-hayāt meñ hai
chhupā na pā.egā koī bhī mujh se rāz-e-hayāt
ki aa.ina ġham-e-daurāñ kā mere haath meñ hai
jo raag sirf thā mahdūd merī zaat talak
vo ban ke ek tarāna sā kā.enāt meñ hai
zamīn-bos abhī hogā fikr-o-fan kā mahal
ik intishār sā duniyā-e-be-sabāt meñ hai
ye aadmī kā hai jangal zarā sañbhal ke chalo
yahāñ to naag havas kā tumhārī ghaat meñ hai
badal hī jā.egī 'jāmī' tumhārī tarz-e-kalām
ik inqalāb kī ḳhushbū tumhārī baat meñ hai
na aasman mein zamin mein na kaenat mein hai
wo husn jo ki azal hi se teri zat mein hai
ye rang-o-nur ye KHushbu ye mauj-ha-e-bahaar
masarraton ka KHazana rah-e-hayat mein hai
chhupa na paega koi bhi mujh se raaz-e-hayat
ki aaina gham-e-dauran ka mere hath mein hai
jo rag sirf tha mahdud meri zat talak
wo ban ke ek tarana sa kaenat mein hai
zamin-bos abhi hoga fikr-o-fan ka mahal
ek intishaar sa duniya-e-be-sabaat mein hai
ye aadmi ka hai jangal zara sanbhal ke chalo
yahan to nag hawas ka tumhaari ghat mein hai
badal hi jaegi 'jami' tumhaari tarz-e-kalam
ek inqalab ki KHushbu tumhaari baat mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.