na aati thi kahin dil mein nazar aag
na aatī thī kahīñ dil meñ nazar aag
magar phir bhī jalī hai raat bhar aag
khulā hai dil meñ ik dāġhoñ kā gulshan
ugaltā hai mirā zaḳhm-e-jigar aag
bulāyā thā mujhe bazm-e-tarab meñ
lagā dī dil meñ kyuuñ muñh pher kar aag
dikhāyā tuur par muusā ko jalva
kahāñ jā kar banī hai rāhbar aag
ye girya aur phir āh-e-sharar-bār
taraqqī par idhar paanī udhar aag
vo merā dil jalānā khel samjhe
karegī rafta rafta ye asar aag
shab-e-ġham is qadar royā hai koī
ki DhūñDe bhī nahīñ miltī sahar aag
vo dil par haath rakh kar ga.e haiñ
ki ab jalne na paa.e raat bhar aag
zamāne ko jalātā hai vo zālim
na ban jaa.eñ kahīñ shams-o-qamar aag
ye kis kī sard-mehrī kā asar thā
na dekhī tuur par bhī jalva-gar aag
karūñ kyā āh-e-sozāñ hijr kī shab
farishtoñ ke jalā detī hai par aag
ye dushman kā makān apnā hī ghar hai
lagā deñ aap be-ḳhauf-o-ḳhatar aag
dil-e-sozāñ ye kah de chashm-e-tar se
ḳhudā ke vāste ThanDī na kar aag
hasad kī aag meñ jaltā hai ab tak
barastī hai adū kī qabr par aag
vuzū ho jā.eñge zāhid ke ThanDe
bujhā degī kisī kī chashm-e-tar aag
dil-e-nādāñ ko ham samjhā chuke the
mohabbat aag hai ai be-ḳhabar aag
sunā mazmūñ javāb-e-ḳhat kā 'rāsiḳh'
uThā laayā kahīñ se nāma-bar aag
na aati thi kahin dil mein nazar aag
magar phir bhi jali hai raat bhar aag
khula hai dil mein ek daghon ka gulshan
ugalta hai mera zaKHm-e-jigar aag
bulaya tha mujhe bazm-e-tarab mein
laga di dil mein kyun munh pher kar aag
dikhaya tur par musa ko jalwa
kahan ja kar bani hai rahbar aag
ye girya aur phir aah-e-sharar-bar
taraqqi par idhar pani udhar aag
wo mera dil jalana khel samjhe
karegi rafta rafta ye asar aag
shab-e-gham is qadar roya hai koi
ki DhunDe bhi nahin milti sahar aag
wo dil par hath rakh kar gae hain
ki ab jalne na pae raat bhar aag
zamane ko jalata hai wo zalim
na ban jaen kahin shams-o-qamar aag
ye kis ki sard-mehri ka asar tha
na dekhi tur par bhi jalwa-gar aag
karun kya aah-e-sozan hijr ki shab
farishton ke jala deti hai par aag
ye dushman ka makan apna hi ghar hai
laga den aap be-KHauf-o-KHatar aag
dil-e-sozan ye kah de chashm-e-tar se
KHuda ke waste ThanDi na kar aag
hasad ki aag mein jalta hai ab tak
barasti hai adu ki qabr par aag
wuzu ho jaenge zahid ke ThanDe
bujha degi kisi ki chashm-e-tar aag
dil-e-nadan ko hum samjha chuke the
mohabbat aag hai ai be-KHabar aag
suna mazmun jawab-e-KHat ka 'rasiKH'
uTha laya kahin se nama-bar aag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.