na ab chaman ki KHabar hai na aashiyane ki
na ab chaman kī ḳhabar hai na āshiyāne kī
maiñ kyā karūñ ki tabī'at nahīñ Thikāne kī
bigaḌ rahī hai kuchh aisī fazā zamāne kī
chaman kī ḳhair hai yā-rab na āshiyāne kī
shab-e-firāq kī betābiyāñ ma'āz-allāh
suno bhī tum to ye bāteñ nahīñ sunāne kī
zamāna tum se zamāne kī shoḳhiyāñ tum se
tum aur ham se shikāyat karo zamāne kī
havā ne us ko bhī pahuñchā diyā kahāñ se kahāñ
bachī-khuchī jo nishānī thī āshiyāne kī
ye kyā huā ki chaman kī mizāj-dāñ bulbul
udaas baiThī hai Daalī pe āshiyāne kī
haiñ is galī meñ bhī ġhairoñ ke naqsh-e-pā 'bismil'
kahīñ jagah na rahī mere sar jhukāne kī
na ab chaman ki KHabar hai na aashiyane ki
main kya karun ki tabi'at nahin Thikane ki
bigaD rahi hai kuchh aisi faza zamane ki
chaman ki KHair hai ya-rab na aashiyane ki
shab-e-firaq ki betabiyan ma'az-allah
suno bhi tum to ye baaten nahin sunane ki
zamana tum se zamane ki shoKHiyan tum se
tum aur hum se shikayat karo zamane ki
hawa ne us ko bhi pahuncha diya kahan se kahan
bachi-khuchi jo nishani thi aashiyane ki
ye kya hua ki chaman ki mizaj-dan bulbul
udas baiThi hai Dali pe aashiyane ki
hain is gali mein bhi ghairon ke naqsh-e-pa 'bismil'
kahin jagah na rahi mere sar jhukane ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.