na ab wo pahli si tarz-e-girya na sham-e-gham ki hama-hami hai
na ab vo pahlī sī tarz-e-girya na shām-e-ġham kī hamā-hamī hai
be-ashk āñkhoñ ke ratjagoñ meñ ḳhayāl saare bujhe hue haiñ
sunahrī ghaḌiyoñ kā lams thā vo mire takallum ke bāñkpan meñ
magar ye aalam hai ab ki alfāz abr-e-ġham meñ ghire hue haiñ
tumhāre dar ko hī takte rahnā machalte jazboñ kī shoḳhiyoñ meñ
magar ab is chashm-e-nā-tavāñ meñ hazār neze gaḌe hue haiñ
dhanak sā chehra udaas honā phir us pe bhī vo shafaq sā khulnā
yaqīn maano ki ham se nādāñ unhī dinoñ ke jiye hue haiñ
vo us ke jhagḌe hamārī ḳhātir vo saare logoñ se bair rakhnā
kahāñ hai ab aa ke dekhe ham kin adāvatoñ meñ ghire hue haiñ
Dase hue haiñ ye āgahī ke na jī rahe haiñ na mar rahe haiñ
na pūchho in se sabab koī bhī ye log pahle Dare hue haiñ
jo jā chuke haiñ vo log kyā the ki un kī ulfat kī mahkī duniyā
jahāñ thamī thī ghaḌī rukī thī vahīñ pe ham bhī khaḌe hue haiñ
na ab wo pahli si tarz-e-girya na sham-e-gham ki hama-hami hai
be-ashk aankhon ke ratjagon mein KHayal sare bujhe hue hain
sunahri ghaDiyon ka lams tha wo mere takallum ke bankpan mein
magar ye aalam hai ab ki alfaz abr-e-gham mein ghire hue hain
tumhaare dar ko hi takte rahna machalte jazbon ki shoKHiyon mein
magar ab is chashm-e-na-tawan mein hazar neze gaDe hue hain
dhanak sa chehra udas hona phir us pe bhi wo shafaq sa khulna
yaqin mano ki hum se nadan unhi dinon ke jiye hue hain
wo us ke jhagDe hamari KHatir wo sare logon se bair rakhna
kahan hai ab aa ke dekhe hum kin adawaton mein ghire hue hain
Dase hue hain ye aagahi ke na ji rahe hain na mar rahe hain
na puchho in se sabab koi bhi ye log pahle Dare hue hain
jo ja chuke hain wo log kya the ki un ki ulfat ki mahki duniya
jahan thami thi ghaDi ruki thi wahin pe hum bhi khaDe hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.