na apne-ap ko is tarah dar-ba-dar rakhte
na apne-āp ko is tarah dar-ba-dar rakhte
palaT ke aate agar ham bhī koī ghar rakhte
ajiib vahshat-e-shab thī ki shaam Dhalte hī
tamām log muñDeroñ par apne sar rakhte
jo apnī fat.h ke nashshe meñ chuur the vo bhalā
sulagte shahr ke manzar pe kyā nazar rakhte
ye aur baat ki sarsabz the bahut lekin
ham aise peḌ na ban paa.e jo samar rakhte
jinheñ havā kī rifāqat aziiz thī 'shahzād'
vo apne paañv bhalā kyā zamīn par rakhte
na apne-ap ko is tarah dar-ba-dar rakhte
palaT ke aate agar hum bhi koi ghar rakhte
ajib wahshat-e-shab thi ki sham Dhalte hi
tamam log munDeron par apne sar rakhte
jo apni fath ke nashshe mein chur the wo bhala
sulagte shahr ke manzar pe kya nazar rakhte
ye aur baat ki sarsabz the bahut lekin
hum aise peD na ban pae jo samar rakhte
jinhen hawa ki rifaqat aziz thi 'shahzad'
wo apne panw bhala kya zamin par rakhte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.