na apni kahna na meri sunna koi sunega to kya kahega
na apni kahna na meri sunna koi sunega to kya kahega
Anwar Nizami Jabalpuri
MORE BYAnwar Nizami Jabalpuri
na apnī kahnā na merī sunñā koī sunegā to kyā kahegā
akele ronā akele hañsnā koī sunegā to kyā kahegā
Dhalak ke qadmoñ pe aa ke girnā ye hālat-e-be-ḳhudī meñ āñchal
ḳhayāl itnā bhī ab na rakhnā koī sunegā to kyā kahegā
ye be-jhijhak zulf kī baġhāvat nigāh-o-ruḳhsār-o-lab pe qabze
sañvarne vāloñ kā ye bikharnā koī sunegā to kyā kahegā
samajh na sāñsoñ ko bojh itnā udaas rahnā bhī ḳhud-kushī hai
ḳhud apnī hastī tabāh karnā koī sunegā to kyā kahegā
kaho ki ab aa.egī qayāmat tumheñ nahīñ hai merī zarūrat
tumhārā yuuñ faisle se haTnā koī sunegā to kyā kahegā
Dhalakte ashkoñ kā raaz kholo batāo kyā ġham hai kuchh to bolo
hamāre hote udaas rahnā koī sunegā to kyā kahegā
hazār chāhā manā luuñ 'anvar' magar vo ab tak ḳhafā haiñ mujh se
qarīb rahte hue na milnā koī sunegā to kyā kahegā
na apni kahna na meri sunna koi sunega to kya kahega
akele rona akele hansna koi sunega to kya kahega
Dhalak ke qadmon pe aa ke girna ye haalat-e-be-KHudi mein aanchal
KHayal itna bhi ab na rakhna koi sunega to kya kahega
ye be-jhijhak zulf ki baghawat nigah-o-ruKHsar-o-lab pe qabze
sanwarne walon ka ye bikharna koi sunega to kya kahega
samajh na sanson ko bojh itna udas rahna bhi KHud-kushi hai
KHud apni hasti tabah karna koi sunega to kya kahega
kaho ki ab aaegi qayamat tumhein nahin hai meri zarurat
tumhaara yun faisle se haTna koi sunega to kya kahega
Dhalakte ashkon ka raaz kholo batao kya gham hai kuchh to bolo
hamare hote udas rahna koi sunega to kya kahega
hazar chaha mana lun 'anwar' magar wo ab tak KHafa hain mujh se
qarib rahte hue na milna koi sunega to kya kahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.