na aur aag ki faslen ugao dharti par
na aur aag kī fasleñ ugaao dhartī par
samundaroñ ke ġhulāmo ab aao dhartī par
hamāre hāthoñ ne kab aur kyoñ banā.e haiñ
ujaaḌ qabroñ kī mānind ghaav dhartī par
maiñ ḳhud hī ā.ūñgā nīlāhaToñ ke des meñ tum
mirī talab meñ bhaTakne na aao dhartī par
kisī tarah to hoñ tārāj ḳhvāhishoñ ke makāñ
bahāo aag ke dariyā bahāo dhartī par
zamāna biit gayā maañ kī god kahte hue
na.ī na.ī koī tohmat lagāo dhartī par
na aur aag ki faslen ugao dharti par
samundaron ke ghulamo ab aao dharti par
hamare hathon ne kab aur kyon banae hain
ujaD qabron ki manind ghaw dharti par
main KHud hi aaunga nilahaTon ke des mein tum
meri talab mein bhaTakne na aao dharti par
kisi tarah to hon taraj KHwahishon ke makan
bahao aag ke dariya bahao dharti par
zamana bit gaya man ki god kahte hue
nai nai koi tohmat lagao dharti par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.