na baadban na kashti se pyar karna hai
na bādbān na kashtī se pyaar karnā hai
hameñ to Duub ke dariyā ko paar karnā hai
hamārā kaam tumheñ rāhateñ baham karnā
tumhārā shaġhl hameñ be-qarār karnā hai
tumhāre dil se jo niklī hai e'timād kī baat
ye baat hai to hameñ e'tibār karnā hai
bahut kaThin haiñ judā.ī ke marhale saare
dil-e-hazīñ ko magar intizār karnā hai
taḳhayyulāt ko rakhnā hai 'shāhida' qaa.em
bas ek ḳhvāb kī bastī se pyaar karnā hai
na baadban na kashti se pyar karna hai
hamein to Dub ke dariya ko par karna hai
hamara kaam tumhein rahaten baham karna
tumhaara shaghl hamein be-qarar karna hai
tumhaare dil se jo nikli hai e'timad ki baat
ye baat hai to hamein e'tibar karna hai
bahut kaThin hain judai ke marhale sare
dil-e-hazin ko magar intizar karna hai
taKHayyulat ko rakhna hai 'shahida' qaem
bas ek KHwab ki basti se pyar karna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.