na baaten kin na taskin di na pahlu mein zara Thahre
na bāteñ kiiñ na taskīñ dī na pahlū meñ zarā Thahre
jo tum aa.e to kyā aa.e jo tum Thahre to kyā Thahre
kisī kā rañg-e-ulfat kyā jame vaañ ye bhī mushkil hai
ki un ke dast o pā meñ ek dam rañg-e-hinā Thahre
dil-e-muztar ba-shakl-e-barq dam lene nahīñ detā
mujhe ārām aa jaa.e jo pahlū meñ zarā Thahre
vafādārī huī be-kār marnā khel aa Thahrā
ḳhudā jaane ki ab kyā rang-e-ā.īn-e-vafā Thahre
dimāġh aisā hī kuchh nāzuk jaleñ aise hī kuchh bad-go
kahūñ ik harf-e-matlab aur vaañ ik mājrā Thahre
chaman meñ aag sī pairāhan-e-gul se bhaḌak uTThī
fuġhāñ se ek dam to bulbul-e-ātish-navā Thahre
agar jaanā hī Thahrā hai to achchhā dil bhī le jaao
kisī pahlū kisī sūrat to jān-e-mubtalā Thahre
kabhī shādī kabhī ġham hai kabhī kuchh aur 'ālam hai
dil ik mehmāñ-sarā hai is meñ 'raunaq' koī aa Thahre
na baaten kin na taskin di na pahlu mein zara Thahre
jo tum aae to kya aae jo tum Thahre to kya Thahre
kisi ka rang-e-ulfat kya jame wan ye bhi mushkil hai
ki un ke dast o pa mein ek dam rang-e-hina Thahre
dil-e-muztar ba-shakl-e-barq dam lene nahin deta
mujhe aaram aa jae jo pahlu mein zara Thahre
wafadari hui be-kar marna khel aa Thahra
KHuda jaane ki ab kya rang-e-ain-e-wafa Thahre
dimagh aisa hi kuchh nazuk jalen aise hi kuchh bad-go
kahun ek harf-e-matlab aur wan ek majra Thahre
chaman mein aag si pairahan-e-gul se bhaDak uTThi
fughan se ek dam to bulbul-e-atish-nawa Thahre
agar jaana hi Thahra hai to achchha dil bhi le jao
kisi pahlu kisi surat to jaan-e-mubtala Thahre
kabhi shadi kabhi gham hai kabhi kuchh aur 'alam hai
dil ek mehman-sara hai is mein 'raunaq' koi aa Thahre
- Book : intekhaabe-e-sukhan(jild-duum) (Pg. 124)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.