na baz aae tum apni han kahte kahte
na baaz aa.e tum apnī haañ kahte kahte
magar thak ga.ī ye zabāñ kahte kahte
zabardastī zid ne kiyā dil ko zaḳhmī
jigar shaq huā haañ meñ haañ kahte kahte
bache ḳhuub bātil kī ārā.iyoñ se
har ik baat par al-amāñ kahte kahte
kisī kī na dekhī kabhī mehrbānī
zabāñ thak ga.ī mehrbāñ kahte kahte
ubhartī ga.iiñ ta.an-o-tishna se qaumeñ
nishāñ ban gayā be-nishāñ kahte kahte
hameñ tum ne āḳhir kahīñ kā na rakkhā
zamāne kī nairañgiyāñ kahte kahte
na tafrīq kuchh dost dushman meñ rakkhī
hue bad-gumāñ bad-gumāñ kahte kahte
kiyā shauq ne roz-e-raushan meñ zāhir
khulā rāz-e-bātin nihāñ kahte kahte
lage haath malne zamāne ke ġhāfil
huī ḳhatm jab dāstāñ kahte kahte
isī tarah aayā hai rāh-e-amal par
jahāñ kā har ik kārvāñ kahte kahte
magar tum na samjhe nasīhat kisī kī
zamīñ ban ga.ī āsmāñ kahte kahte
na māyūs ho qaum se apnī 'kubrā'
ki Tal jā.egī ye ḳhizāñ kahte kahte
na baz aae tum apni han kahte kahte
magar thak gai ye zaban kahte kahte
zabardasti zid ne kiya dil ko zaKHmi
jigar shaq hua han mein han kahte kahte
bache KHub baatil ki aaraiyon se
har ek baat par al-aman kahte kahte
kisi ki na dekhi kabhi mehrbani
zaban thak gai mehrban kahte kahte
ubharti gain tan-o-tishna se qaumen
nishan ban gaya be-nishan kahte kahte
hamein tum ne aaKHir kahin ka na rakkha
zamane ki nairangiyan kahte kahte
na tafriq kuchh dost dushman mein rakkhi
hue bad-guman bad-guman kahte kahte
kiya shauq ne roz-e-raushan mein zahir
khula raaz-e-baatin nihan kahte kahte
lage hath malne zamane ke ghafil
hui KHatm jab dastan kahte kahte
isi tarah aaya hai rah-e-amal par
jahan ka har ek karwan kahte kahte
magar tum na samjhe nasihat kisi ki
zamin ban gai aasman kahte kahte
na mayus ho qaum se apni 'kubra'
ki Tal jaegi ye KHizan kahte kahte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.