na baDhne dega musalsal mere gunah koi
na baDhne dega musalsal mere gunah koi
Syed Iqbal Rizvi Sharib
MORE BYSyed Iqbal Rizvi Sharib
na baḌhne degā musalsal mire gunāh koī
ki rakh rahā hai mirī raah par nigāh koī
sunā hai ham ne ki insān hai ḳhasāre meñ
so apne dil meñ panapne hī dī na chaah koī
hamāre mulkoñ meñ tā'līm phir hai zer-e-sitam
sitamgaroñ se bachā.egī dars-gāh koī
ye nafratoñ ke shajar aur jhuuT kī fasleñ
suno to mādar-e-gītī ke lab kī aah koī
ye roz roz kī baḌhtī huī ghuTan 'shārib'
sadā.eñ detī hai DhūñDo na.ī panāh koī
na baDhne dega musalsal mere gunah koi
ki rakh raha hai meri rah par nigah koi
suna hai hum ne ki insan hai KHasare mein
so apne dil mein panapne hi di na chah koi
hamare mulkon mein ta'lim phir hai zer-e-sitam
sitamgaron se bachaegi dars-gah koi
ye nafraton ke shajar aur jhuT ki faslen
suno to madar-e-giti ke lab ki aah koi
ye roz roz ki baDhti hui ghuTan 'shaarib'
sadaen deti hai DhunDo nai panah koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.