na bhulega KHayal o rang-e-ruKH ka nama-bar hona
na bhūlegā ḳhayāl o rang-e-ruḳh kā nāma-bar honā
hadīs-e-shauq se harf-o-zabāñ kā be-ḳhabar honā
muhīt-e-dahr kī har mauj hai ik lahr bijlī kī
mubārak āh-e-muztar ko tirī barq-e-nazar honā
shikāyat-sanj-e-qudrat kyoñ na ho majbūrī-e-bulbul
qafas hī meñ thā kyā josh-e-numū se bāl-o-par honā
mirī aahoñ kī halchal hai nizām-e-dahr barham hai
nidā.eñ aa rahī haiñ aaj mushkil hai sahar honā
khule haiñ dil ke hāthoñ aah asrār-e-junūñ kyā kyā
qayāmat kar gayā is rāzdāñ kā parda-dar honā
ye baḌhte valvale ye josh-e-gul ye apnī majbūrī
qafas se chhūT kar qismat meñ thā be-bāl-o-par honā
rah-e-vahshat kī uThtī āñdhiyoñ kā haal kahtā hai
sarāpā kārvān-e-shauq kā gard-e-safar honā
qafas meñ fasl-e-gul kī kyā ḳhabar haañ kuchh to kahtā hai
faqat ik vaqt meñ josh-e-numū-e-bāl-o-par honā
zamāna mahv-e-hairat aur vo majbūr-e-tabassum hai
tilism-e-rāz hai 'beḳhud' mirī mizhgāñ kā tar honā
na bhulega KHayal o rang-e-ruKH ka nama-bar hona
hadis-e-shauq se harf-o-zaban ka be-KHabar hona
muhit-e-dahr ki har mauj hai ek lahr bijli ki
mubarak aah-e-muztar ko teri barq-e-nazar hona
shikayat-sanj-e-qudrat kyon na ho majburi-e-bulbul
qafas hi mein tha kya josh-e-numu se baal-o-par hona
meri aahon ki halchal hai nizam-e-dahr barham hai
nidaen aa rahi hain aaj mushkil hai sahar hona
khule hain dil ke hathon aah asrar-e-junun kya kya
qayamat kar gaya is raazdan ka parda-dar hona
ye baDhte walwale ye josh-e-gul ye apni majburi
qafas se chhuT kar qismat mein tha be-baal-o-par hona
rah-e-wahshat ki uThti aandhiyon ka haal kahta hai
sarapa karwan-e-shauq ka gard-e-safar hona
qafas mein fasl-e-gul ki kya KHabar han kuchh to kahta hai
faqat ek waqt mein josh-e-numu-e-baal-o-par hona
zamana mahw-e-hairat aur wo majbur-e-tabassum hai
tilism-e-raaz hai 'beKHud' meri mizhgan ka tar hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.