na bhulna mujhe dil se meri KHabar lena
na bhūlnā mujhe dil se mirī ḳhabar lenā
jo yaad aa.uuñ kabhī maiñ to yaad kar lenā
hue haiñ ḳhabt meñ kyā mubtalā tire āshiq
zarūr kyā hai ki dil de ke dard-e-sar lenā
vo sab se kahne lage taak kar mire dil ko
kisī tarah bhī hai lenā ise magar lenā
shab-e-visāl kī vo sharm yaad aatī hai
hayā se muñh pe dupaTTe ko apne dhar lenā
unheñ manā ke ḳhushāmad se iltijāoñ se
kisī tarah se javāb ai payāmbar lenā
vo aa ke leTe jo pahlū meñ mere vasl kī shab
kahā ye dil ne mire ḳhvāb raat bhar lenā
hamāre dil ke ḳharīdār aur bhī haiñ bahut
na der kījiye manzūr hai agar lenā
jise vo chāheñ baḌhā.eñ jise vo chāheñ ghaTā.eñ
ye un kā khel hai dushman ko dost kar lenā
dikhā dikhā ke na tum aur mujh ko tarsāo
maiñ mar gayā to mire baad ban sañvar lenā
milā ke ḳhaak meñ dil ko vo mere kahte haiñ
ye jis qadar huā nuqsān ham se bhar lenā
jo tum meñ hai ye kamāl aur ko nasīb kahāñ
dikhā ke jalva har ik ko ġhulām kar lenā
huā jo qat-e-ta.alluq to kyā ġharaz us se
na aap 'ranj' kā ab naam umr bhar lenā
na bhulna mujhe dil se meri KHabar lena
jo yaad aaun kabhi main to yaad kar lena
hue hain KHabt mein kya mubtala tere aashiq
zarur kya hai ki dil de ke dard-e-sar lena
wo sab se kahne lage tak kar mere dil ko
kisi tarah bhi hai lena ise magar lena
shab-e-visal ki wo sharm yaad aati hai
haya se munh pe dupaTTe ko apne dhar lena
unhen mana ke KHushamad se iltijaon se
kisi tarah se jawab ai payambar lena
wo aa ke leTe jo pahlu mein mere wasl ki shab
kaha ye dil ne mere KHwab raat bhar lena
hamare dil ke KHaridar aur bhi hain bahut
na der kijiye manzur hai agar lena
jise wo chahen baDhaen jise wo chahen ghaTaen
ye un ka khel hai dushman ko dost kar lena
dikha dikha ke na tum aur mujh ko tarsao
main mar gaya to mere baad ban sanwar lena
mila ke KHak mein dil ko wo mere kahte hain
ye jis qadar hua nuqsan hum se bhar lena
jo tum mein hai ye kamal aur ko nasib kahan
dikha ke jalwa har ek ko ghulam kar lena
hua jo qat-e-talluq to kya gharaz us se
na aap 'ranj' ka ab nam umr bhar lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.