Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na bim-e-gham hai ne shadi ki hum ummid karte hain

Qayem Chaandpuri

na bim-e-gham hai ne shadi ki hum ummid karte hain

Qayem Chaandpuri

MORE BYQayem Chaandpuri

    na bīm-e-ġham hai ne shādī ham ummīd karte haiñ

    qalandar haiñ jo pesh aa jaa.e sab kuchh diid karte haiñ

    kahāñ ġharra-e-shavvāl kaisā ashra zī-hijja

    hameñ haath aa.e mai jis din ham us din iid karte haiñ

    mizāj-e-ḳhas hai ahl-e-ishq jalne ke aalam meñ

    jalātā hai jo in ko us ye tā.īd karte haiñ

    irāda to na thā apnā bhī jaane tire ghar se

    pa kyā kiije ki baḳht-e-vāzhgūñ tākīd karte haiñ

    ye kaasa sar tale rakkhe jo mai-ḳhānoñ meñ sote haiñ

    jise chāheñ use ik jaam meñ jamshed karte haiñ

    jinheñ kuchh silsile meñ ishq ke tahqīq hāsil hai

    vo kab majnūñ se har gumrāh taqlīd karte haiñ

    na jaane kahiye kis qālib meñ 'qā.em' dard-e-dil us se

    nahīñ bantī zabāñ se dil meñ jo tamhīd karte haiñ

    na bim-e-gham hai ne shadi ki hum ummid karte hain

    qalandar hain jo pesh aa jae sab kuchh did karte hain

    kahan ka gharra-e-shawwal kaisa ashra zi-hijja

    hamein hath aae mai jis din hum us din id karte hain

    mizaj-e-KHas hai ahl-e-ishq ka jalne ke aalam mein

    jalata hai jo in ko us ki ye taid karte hain

    irada to na tha apna bhi jaane ka tere ghar se

    pa kya kije ki baKHt-e-wazhgun takid karte hain

    ye kasa sar tale rakkhe jo mai-KHanon mein sote hain

    jise chahen use ek jam mein jamshed karte hain

    jinhen kuchh silsile mein ishq ke tahqiq hasil hai

    wo kab majnun se har gumrah ki taqlid karte hain

    na jaane kahiye kis qalib mein 'qaem' dard-e-dil us se

    nahin banti zaban se dil mein jo tamhid karte hain

    Source :
    • Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now