na buton tak na hum allah ke ghar tak pahunche
na buton tak na hum allah ke ghar tak pahunche
Syed Masood Hasan Masood
MORE BYSyed Masood Hasan Masood
na butoñ tak na ham allāh ke ghar tak pahuñche
apne naale na kabhī bāb-e-asar tak pahuñche
hausla dil kā rahā dil meñ nazāra kaisā
laakh chāhā na magar aap ke ghar tak pahuñche
rut javānī kī ga.ī ālam-e-pīrī aaya
ghar se shab ko chale manzil pe sahar tak pahuñche
naqsh-e-pā bhī na unheñ ik nazar aaya haihāt
jo tahī-baḳht tirī rāhguzar tak pahuñche
mo'atabar logoñ se ham ne ye sunā hai 'mas.ūd'
dar se uTh kar tire allāh ke ghar tak pahuñche
na buton tak na hum allah ke ghar tak pahunche
apne nale na kabhi bab-e-asar tak pahunche
hausla dil ka raha dil mein nazara kaisa
lakh chaha na magar aap ke ghar tak pahunche
rut jawani ki gai aalam-e-piri aaya
ghar se shab ko chale manzil pe sahar tak pahunche
naqsh-e-pa bhi na unhen ek nazar aaya haihat
jo tahi-baKHt teri rahguzar tak pahunche
mo'atabar logon se hum ne ye suna hai 'masud'
dar se uTh kar tere allah ke ghar tak pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.