Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na chahat se na yaadon se na wadon se na KHwabon se

Neeraj Jha

na chahat se na yaadon se na wadon se na KHwabon se

Neeraj Jha

MORE BYNeeraj Jha

    na chāhat se na yādoñ se na va.adoñ se na ḳhvāboñ se

    ġhazal kār-ḳhāna chal rahā hai bas azāboñ se

    udāsī rang ban kar har varaq par phail jaatī hai

    terī tasvīr hotī hai judā jab bhī kitāboñ se

    koī gul jab nazar aa.e tab un yaad aatī hai

    ḳhafā ham is liye rahte haiñ bāġhoñ meñ gulāboñ se

    sar-e-shab āsmāñ meñ do sitāre jaise dikhte haiñ

    tirī āñkhoñ bhī kuchh vaisī dikhtī haiñ hijāboñ se

    charāġhoñ ne bhī to 'nīraj' tavajjoh sab khoī hai

    pareshāñ sirf rāteñ nahīñ haiñ āftāboñ se

    na chahat se na yaadon se na wadon se na KHwabon se

    ghazal ka kar-KHana chal raha hai bas azabon se

    udasi rang ban kar har waraq par phail jati hai

    teri taswir hoti hai juda jab bhi kitabon se

    koi gul jab nazar aae tab un ki yaad aati hai

    KHafa hum is liye rahte hain baghon mein gulabon se

    sar-e-shab aasman mein do sitare jaise dikhte hain

    teri aankhon bhi kuchh waisi hi dikhti hain hijabon se

    charaghon ne bhi to 'niraj' tawajjoh sab ki khoi hai

    pareshan sirf raaten hi nahin hain aaftabon se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now