na chehra hi badalta hai na wo tewar badalta hai
na chehra hī badaltā hai na vo tevar badaltā hai
vo zālim sirf apne haath kā patthar badaltā hai
ka.ī tabdīliyāñ hotī haiñ insānoñ kī bastī meñ
parinda koī dekhā hai jo apnā ghar badaltā hai
jo ham ne apnī āñkheñ pheñk dī haiñ us ke qadmoñ pe
so apnī āñkheñ har ik gaam par dilbar badaltā hai
chamak uThte haiñ aañsū merī palkoñ ke kināroñ par
phir is ke ba.ad achānak ḳhvāb kā manzar badaltā hai
maiñ jab bhī phuul us kī yaad ke gulshan se chuntī huuñ
to 'bīnā' karb merā rañg kā paikar badaltā hai
na chehra hi badalta hai na wo tewar badalta hai
wo zalim sirf apne hath ka patthar badalta hai
kai tabdiliyan hoti hain insanon ki basti mein
parinda koi dekha hai jo apna ghar badalta hai
jo hum ne apni aankhen phenk di hain us ke qadmon pe
so apni aankhen har ek gam par dilbar badalta hai
chamak uThte hain aansu meri palkon ke kinaron par
phir is ke baad achanak KHwab ka manzar badalta hai
main jab bhi phul us ki yaad ke gulshan se chunti hun
to 'bina' karb mera rang ka paikar badalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.