na chheD un ka fasana ai dil-e-nashad rahne de
na chheḌ un kā fasāna ai dil-e-nāshād rahne de
maiñ barbād-e-tamannā huuñ mujhe barbād rahne de
nadāmat ho unheñ shāyad kabhī apnī jafāoñ par
abhī shikva-tarāzī ai lab-e-fariyād rahne de
miTā de safha-e-dil se mire sab kuchh ġham-e-hastī
magar tā-zindagī qaa.em kisī kī yaad rahne de
ajab lazzat ḳhalish meñ is kī hai ai chārāgar pinhāñ
dil-e-īzā-talab meñ nāvak-e-bedād rahne de
agar un kī talab hai puḳhta-kār-e-ārzū ho jā
havas kī ḳhām-kārī ai dil-e-nāshād rahne de
mubārak ho tujhe ai bevafā ārā.ish-e-gesū
jo barbād-e-tamannā hai use barbād rahne de
gar ambār-e-karam hone kī tāqat hī nahīñ us meñ
'valī' ko āshnā-e-lazzat-e-bedād rahne de
na chheD un ka fasana ai dil-e-nashad rahne de
main barbaad-e-tamanna hun mujhe barbaad rahne de
nadamat ho unhen shayad kabhi apni jafaon par
abhi shikwa-taraazi ai lab-e-fariyaad rahne de
miTa de safha-e-dil se mere sab kuchh gham-e-hasti
magar ta-zindagi qaem kisi ki yaad rahne de
ajab lazzat KHalish mein is ki hai ai chaaragar pinhan
dil-e-iza-talab mein nawak-e-bedad rahne de
agar un ki talab hai puKHta-kar-e-arzu ho ja
hawas ki KHam-kari ai dil-e-nashad rahne de
mubarak ho tujhe ai bewafa aaraish-e-gesu
jo barbaad-e-tamanna hai use barbaad rahne de
gar ambar-e-karam hone ki taqat hi nahin us mein
'wali' ko aashna-e-lazzat-e-bedad rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.