na dalilen na hi ababilen
na dalīleñ na hī abābīleñ
sabr ke ghūñT haiñ vahī pī leñ
kaisī be-ḳhvāb haiñ sabhī āñkheñ
jis tarah ḳhushk-o-be-amāñ jhīleñ
maat khā jaa.eñ zabt se apne
aur insāniyat pe baazī leñ
ek insān kā lahū kar ke
us pe shaitān kī gavāhī leñ
kuuch kar jaa.eñ aise kūche se
saath nākāmiyoñ kī pūñjī leñ
jahl meñ sahl hai unheñ shāyad
us pe ik dūsre se thapkī leñ
bas nahīñ chal rahā farishtoñ kā
varna palTī huī ye dhartī leñ
jin ke shajre meñ bas jahālat hai
un se nasloñ kī rahnumā.ī leñ
raakh sūraj hī kī nikaltī hai
jab kisī raat kī talāshī leñ
ye siyāhī hai is liye shāyad
taaki aḳhbār apnī surḳhī leñ
kitne hī girye ham pe vājib haiñ
par suhūlat nahīñ ki ruuhī leñ
sirf paidā hoñ us zamāne meñ
aur phir 'umr bhar tasallī leñ
saḳht nādim huuñ apne bachchoñ se
yahī māhaul hai agar jī leñ
na dalilen na hi ababilen
sabr ke ghunT hain wahi pi len
kaisi be-KHwab hain sabhi aankhen
jis tarah KHushk-o-be-aman jhilen
mat kha jaen zabt se apne
aur insaniyat pe bazi len
ek insan ka lahu kar ke
us pe shaitan ki gawahi len
kuch kar jaen aise kuche se
sath nakaamiyon ki punji len
jahl mein sahl hai unhen shayad
us pe ek dusre se thapki len
bas nahin chal raha farishton ka
warna palTi hui ye dharti len
jin ke shajre mein bas jahaalat hai
un se naslon ki rahnumai len
rakh suraj hi ki nikalti hai
jab kisi raat ki talashi len
ye siyahi hai is liye shayad
taki aKHbar apni surKHi len
kitne hi girye hum pe wajib hain
par suhulat nahin ki ruhi len
sirf paida hon us zamane mein
aur phir 'umr bhar tasalli len
saKHt nadim hun apne bachchon se
yahi mahaul hai agar ji len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.