na dam baqi hai aankhon mein na dil mein jaan baqi hai
na dam baaqī hai āñkhoñ meñ na dil meñ jaan baaqī hai
magar donoñ meñ terī diid kā armān baaqī hai
huī hāsil subukdoshī na qātil sar kaTāne se
ki gardan par mirī shamshīr kā ehsān baaqī hai
na ruk jaanā uḌā kar dhajjiyāñ mere garebāñ kī
abhī dast-e-junūñ us shoḳh kā dāmān baaqī hai
dhuāñ bhī qabr se uTThā to bal khātā huā uTThā
tirī ḳhamdār zulfoñ kā jo ab tak dhyān baaqī hai
tumhāre rū-e-raushan se hai bazm-e-husn kī raunaq
mire dam se jahāñ meñ āshiqī kī shaan baaqī hai
dam-e-murdan vo aaya bhī to aaya saath ġhairoñ ke
sitamgar ke karam meñ bhī sitam kī shaan baaqī hai
piye tasbīh par gin gin ke sāġhar aaj vaa.iz ne
ba-vaqt-e-mai-kashī bhī zohd kī ik shaan baaqī hai
jo kaaTā tū ne merā sar girā tere hī qadmoñ par
tire shaidā meñ mar kar bhī vafā kī shaan baaqī hai
tamanna aarzū armān sab to ho chuke ruḳhsat
dil-e-vīrāñ meñ bas ik yaas ab mehmān baaqī hai
merā sar kaaT kar bolā vo bismil dekh kar mujh ko
taḌapte kyoñ ho kyā kuchh aur bhī armān baaqī hai
ugī nargis jo turbat par to kis shoḳhī se vo bole
abhī tak ghūrne kā aap ko armān baaqī hai
abas tum rauñdte ho merī turbat ḳhaak hone par
ab is meñ ustuḳhvāñ tak bhī nahīñ ai jaan baaqī hai
falak par ruuh gar pahūñchī to tan zer-e-zamīñ pahūñchā
talāsh-e-yār kā ab kaun sā unvān baaqī hai
na dam baqi hai aankhon mein na dil mein jaan baqi hai
magar donon mein teri did ka arman baqi hai
hui hasil subukdoshi na qatil sar kaTane se
ki gardan par meri shamshir ka ehsan baqi hai
na ruk jaana uDa kar dhajjiyan mere gareban ki
abhi dast-e-junun us shoKH ka daman baqi hai
dhuan bhi qabr se uTTha to bal khata hua uTTha
teri KHamdar zulfon ka jo ab tak dhyan baqi hai
tumhaare ru-e-raushan se hai bazm-e-husn ki raunaq
mere dam se jahan mein aashiqi ki shan baqi hai
dam-e-murdan wo aaya bhi to aaya sath ghairon ke
sitamgar ke karam mein bhi sitam ki shan baqi hai
piye tasbih par gin gin ke saghar aaj waiz ne
ba-waqt-e-mai-kashi bhi zohd ki ek shan baqi hai
jo kaTa tu ne mera sar gira tere hi qadmon par
tere shaida mein mar kar bhi wafa ki shan baqi hai
tamanna aarzu arman sab to ho chuke ruKHsat
dil-e-viran mein bas ek yas ab mehman baqi hai
mera sar kaT kar bola wo bismil dekh kar mujh ko
taDapte kyon ho kya kuchh aur bhi arman baqi hai
ugi nargis jo turbat par to kis shoKHi se wo bole
abhi tak ghurne ka aap ko arman baqi hai
abas tum raundte ho meri turbat KHak hone par
ab is mein ustuKHwan tak bhi nahin ai jaan baqi hai
falak par ruh gar pahunchi to tan zer-e-zamin pahuncha
talash-e-yar ka ab kaun sa unwan baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.