na dasht mein na chaman mein na ghar mein rakkha tha
na dasht meñ na chaman meñ na ghar meñ rakkhā thā
mirā sukūn tirī rahguzar meñ rakkhā thā
vo terī yaad thī kyā thā jo ek nashtar sā
tamām umr jo mere jigar meñ rakkhā thā
gayā vo daur-e-junūñ dil pe jis kā qabza thā
nikal chukā hai vo saudā jo sar meñ rakkhā thā
vafā ke naam pe ham ne fareb khāyā hai
ḳhazaf chhupā ke kisī ne guhar meñ rakkhā thā
bujhā diyā hai zamāne kī āñdhiyoñ ne use
jo ik charāġh tirī rahguzar meñ rakkhā thā
bachā ke sab kī nazar se nazar meñ rakkhā thā
tumhīñ ko dil meñ tumhīñ ko jigar meñ rakkhā thā
nigāh-e-ilm khulī dil kī aañkh band huī
añdherā be-ḳhabarī kā ḳhabar meñ rakkhā thā
bujhī vo sham-e-mohabbat jo dil kī raunaq thī
nikal gayā vo asāsa jo ghar meñ rakkhā thā
zamāna ho gayā kis tarah bā-ḳhabar us se
jo raaz maiñ ne dil-e-mo'tabar meñ rakkhā thā
tumhāre aate hī lo aaj vo bhī ḳhatm huā
jo fāsla mirī shām-o-sahar meñ rakkhā thā
mire qalam ne ye 'rizvān' charāġh-e-sher-o-suḳhan
jalā ke mahfil-e-ilm-o-hunar meñ rakkhā thā
na dasht mein na chaman mein na ghar mein rakkha tha
mera sukun teri rahguzar mein rakkha tha
wo teri yaad thi kya tha jo ek nashtar sa
tamam umr jo mere jigar mein rakkha tha
gaya wo daur-e-junun dil pe jis ka qabza tha
nikal chuka hai wo sauda jo sar mein rakkha tha
wafa ke nam pe hum ne fareb khaya hai
KHazaf chhupa ke kisi ne guhar mein rakkha tha
bujha diya hai zamane ki aandhiyon ne use
jo ek charagh teri rahguzar mein rakkha tha
bacha ke sab ki nazar se nazar mein rakkha tha
tumhin ko dil mein tumhin ko jigar mein rakkha tha
nigah-e-ilm khuli dil ki aankh band hui
andhera be-KHabari ka KHabar mein rakkha tha
bujhi wo sham-e-mohabbat jo dil ki raunaq thi
nikal gaya wo asasa jo ghar mein rakkha tha
zamana ho gaya kis tarah ba-KHabar us se
jo raaz main ne dil-e-mo'tabar mein rakkha tha
tumhaare aate hi lo aaj wo bhi KHatm hua
jo fasla meri sham-o-sahar mein rakkha tha
mere qalam ne ye 'rizwan' charagh-e-sher-o-suKHan
jala ke mahfil-e-ilm-o-hunar mein rakkha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.