na de tabib dawa dard mein kami ke liye
na de tabīb davā dard meñ kamī ke liye
ki dil kā rog zarūrī hai zindagī ke liye
rah-e-hayāt meñ Thokar na ab lagegī tumheñ
ki zaḳhm-e-dil haiñ mire sab kī raushnī ke liye
thī us ke jism pe bosīda be-kasī kī ridā
magar vo maañg rahā thā duā sabhī ke liye
maiñ māntā huuñ ki niklā hai sach kī khoj meñ vo
magar ye kaam nahīñ sahl har kisī ke liye
mirī zabān pe kab tak lagā.egā pahra
zamīr bech rahā hai jo bartarī ke liye
talāsh kartā hai dariyā tū reg-zāroñ meñ
ye ḳhud-kushī kā hai andāz tishnagī ke liye
lagāte ḳhuub ho misrā magar 'alīm' suno
aruuz jānñā lāzim hai shā.irī ke liye
na de tabib dawa dard mein kami ke liye
ki dil ka rog zaruri hai zindagi ke liye
rah-e-hayat mein Thokar na ab lagegi tumhein
ki zaKHm-e-dil hain mere sab ki raushni ke liye
thi us ke jism pe bosida be-kasi ki rida
magar wo mang raha tha dua sabhi ke liye
main manta hun ki nikla hai sach ki khoj mein wo
magar ye kaam nahin sahl har kisi ke liye
meri zaban pe kab tak lagaega pahra
zamir bech raha hai jo bartari ke liye
talash karta hai dariya tu reg-zaron mein
ye KHud-kushi ka hai andaz tishnagi ke liye
lagate KHub ho misra magar 'alim' suno
aruz jaanna lazim hai shairi ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.