na de wo subh mujhko jo asir-e-sham ho jae
na de vo sub.h mujh ko jo asīr-e-shām ho jaa.e
atā kar vo sahar jo nuur kā paiġhām ho jaa.e
vo sūraj āsmāñ par sar uThā kar ug nahīñ saktā
ki jis kī raushnī kī aabrū nīlām ho jaa.e
qalam kāġhaz liye phirtā huuñ apnī jeb meñ har-dam
na jaane kab kahāñ ash.ār kā ilhām ho jaa.e
samajh lo tum balā-e-nā-gahānī aane vaalī hai
parinda uḌte uḌte jab kabhī nākām ho jaa.e
hai us kī shā.irī meñ fikr kā fuqdān ai 'ashraf'
magar vo chāhtā hai shā.ir-e-ḳhayyām ho jaa.e
na de wo subh mujh ko jo asir-e-sham ho jae
ata kar wo sahar jo nur ka paigham ho jae
wo suraj aasman par sar uTha kar ug nahin sakta
ki jis ki raushni ki aabru nilam ho jae
qalam kaghaz liye phirta hun apni jeb mein har-dam
na jaane kab kahan ashaar ka ilham ho jae
samajh lo tum bala-e-na-gahani aane wali hai
parinda uDte uDte jab kabhi nakaam ho jae
hai us ki shairi mein fikr ka fuqdan ai 'ashraf'
magar wo chahta hai shair-e-KHayyam ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.