na dekhi aaj talak maine yar ki surat
na dekhī aaj talak maiñ ne yaar kī sūrat
ho duur jaise chaman se bahār kī sūrat
vo muñh ko moḌ ke dil le ke chal diye apnā
diyā thā mujh ko ye dil kyoñ udhār kī sūrat
gale meñ is tarah kuchh us ne Daal dī bāheñ
ye lag rahī haiñ gulāboñ ke haar kī sūrat
vo mujh se jiit ke is darja ḳhush nazar aa.e
milī hai jiit mujhe aaj haar kī sūrat
jigar ko kar diyā chhalnī ye kaisā vaar kiyā
tirī nigāheñ haiñ ḳhanjar kī dhaar kī sūrat
mire qarīb agar vo khaḌe nazar aa.e
to maut le ga.ī rāh-e-farār kī sūrat
maiñ mar gayā huuñ magar ab bhī zid nahīñ chhoḌī
khulī hai aañkh maiñ dekhūñgā yaar kī sūrat
nazar meñ us kī kuchh is tarah gaḌ ga.ī hai nazar
maiñ dekh paayā kahāñ apne yaar kī sūrat
mire junūn se vāqif hai aaj tak duniyā
kisī ne dekhī kahāñ mere pyaar kī sūrat
jigar ko kar diyā chhalnī ye kaisā vaar kiyā
tirī nigāheñ haiñ ḳhanjar kī dhaar kī sūrat
maiñ intizār meñ baiThā huuñ kab vo aa.egā
dikhā.ūñ kis ko dil-e-be-qarār kī sūrat
kabhī hai ġham kabhī ḳhushiyāñ haiñ mere āñgan meñ
hai zindagī mirī lail-o-nahār kī sūrat
havā meñ dam hī nahīñ thā bujhā sake us ko
charāġh jaltā rahā intizār kī sūrat
vafā kabhī baḌī anmol chiiz thī ai 'ovais'
ise bhī baḳhsh dī ab kārobār kī sūrat
na dekhi aaj talak main ne yar ki surat
ho dur jaise chaman se bahaar ki surat
wo munh ko moD ke dil le ke chal diye apna
diya tha mujh ko ye dil kyon udhaar ki surat
gale mein is tarah kuchh us ne Dal di bahen
ye lag rahi hain gulabon ke haar ki surat
wo mujh se jit ke is darja KHush nazar aae
mili hai jit mujhe aaj haar ki surat
jigar ko kar diya chhalni ye kaisa war kiya
teri nigahen hain KHanjar ki dhaar ki surat
mere qarib agar wo khaDe nazar aae
to maut le gai rah-e-farar ki surat
main mar gaya hun magar ab bhi zid nahin chhoDi
khuli hai aankh main dekhunga yar ki surat
nazar mein us ki kuchh is tarah gaD gai hai nazar
main dekh paya kahan apne yar ki surat
mere junun se waqif hai aaj tak duniya
kisi ne dekhi kahan mere pyar ki surat
jigar ko kar diya chhalni ye kaisa war kiya
teri nigahen hain KHanjar ki dhaar ki surat
main intizar mein baiTha hun kab wo aaega
dikhaun kis ko dil-e-be-qarar ki surat
kabhi hai gham kabhi KHushiyan hain mere aangan mein
hai zindagi meri lail-o-nahaar ki surat
hawa mein dam hi nahin tha bujha sake us ko
charagh jalta raha intizar ki surat
wafa kabhi baDi anmol chiz thi ai 'owais'
ise bhi baKHsh di ab karobar ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.