na dekhna tha jo paiham dikhai deta hai
na dekhnā thā jo paiham dikhā.ī detā hai
ajiib ḳhauf kā aalam dikhā.ī detā hai
ḳharābī terī nazar meñ nahīñ hai dil meñ hai
isī liye to tujhe kam dikhā.ī detā hai
ye ab jo bād-e-sabā bhī sumūm jaisī hai
falak zamīn se barham dikhā.ī detā hai
patangeñ uḌne lagī haiñ chhatoñ pe chāroñ taraf
bahār aane kā mausam dikhā.ī detā hai
sabhī kī aañkh nahīñ hotī dekhne vaalī
kisī kisī ko mirā ġham dikhā.ī detā hai
guzar gayā hai chaman se abhī abhī 'sayyad'
ki barg-o-bār pe kuchh nam dikhā.ī detā hai
na dekhna tha jo paiham dikhai deta hai
ajib KHauf ka aalam dikhai deta hai
KHarabi teri nazar mein nahin hai dil mein hai
isi liye to tujhe kam dikhai deta hai
ye ab jo baad-e-saba bhi sumum jaisi hai
falak zamin se barham dikhai deta hai
patangen uDne lagi hain chhaton pe chaaron taraf
bahaar aane ka mausam dikhai deta hai
sabhi ki aankh nahin hoti dekhne wali
kisi kisi ko mera gham dikhai deta hai
guzar gaya hai chaman se abhi abhi 'sayyad'
ki barg-o-bar pe kuchh nam dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.