na dhakka hai na mukka hai laDai dekhte jao
na dhakka hai na mukka hai laDai dekhte jao
Kishan lal Khandaan Dehlvi
MORE BYKishan lal Khandaan Dehlvi
na dhakkā hai na mukkā hai laḌā.ī dekhte jaao
zabānī ho rahī hai hāthā-pā.ī dekhte jaao
ḳhudā rakkhe mirī biivī hai nurse aur doctor huuñ maiñ
hamārī donoñ hāthoñ se kamā.ī dekhte jaao
mirā vo kaun hai kahne kī himmat kar nahīñ saktā
yahī kahtā huuñ sab se un kā bhaa.ī dekhte jaao
marīz-e-'ishq ho mirgī ho juutā hai 'ilāj in kā
tum in donoñ kī ye desī davā.ī dekhte jaao
saḌak par jo guzartā hai lagā detā hai do chāñTe
salā-e-ām hai merī piTā.ī dekhte jaao
khule haiñ zaḳhm jo tum ne lagā.e sair to kar lo
jo phulvārī mire dil meñ lagā.ī dekhte jaao
mohabbat kī burā.ī meñ bhalā.ī kā bhī pahlū hai
slēper khā ke vo nāzuk kalā.ī dekhte jaao
agar 'ḳhandāñ' tumhārī jeb meñ noToñ kī gaDDī hai
to phir tum mere hāthoñ kī safā.ī dekhte jaao
na dhakka hai na mukka hai laDai dekhte jao
zabani ho rahi hai hatha-pai dekhte jao
KHuda rakkhe meri biwi hai nurse aur doctor hun main
hamari donon hathon se kamai dekhte jao
mera wo kaun hai kahne ki himmat kar nahin sakta
yahi kahta hun sab se un ka bhai dekhte jao
mariz-e-'ishq ho mirgi ho juta hai 'ilaj in ka
tum in donon ki ye desi dawai dekhte jao
saDak par jo guzarta hai laga deta hai do chanTe
sala-e-am hai meri piTai dekhte jao
khule hain zaKHm jo tum ne lagae sair to kar lo
jo phulwari mere dil mein lagai dekhte jao
mohabbat ki burai mein bhalai ka bhi pahlu hai
sleeper kha ke wo nazuk kalai dekhte jao
agar 'KHandan' tumhaari jeb mein noTon ki gaDDi hai
to phir tum mere hathon ki safai dekhte jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.