na dil ki bebasi dekhi na aankhon ki zaban samjhe
na dil kī bebasī dekhī na āñkhoñ kī zabāñ samjhe
mire shikve ko tum bhī sirf andāz-e-bayāñ samjhe
mohabbat aur koī baat sunñe hī nahīñ detī
kisī kī guftugū niklī ham un kī dāstāñ samjhe
hamāre dil se uThtā hai dhuāñ bijlī kahīñ TuuTe
chaman ke goshe goshe ko ham apnā āshiyāñ samjhe
mohabbat meñ na dāman kā bharosa hai na ashkoñ kā
usī ne rāz-e-dil kholā jise ham rāz-dāñ samjhe
unheñ barsoñ meñ jab dekhā to ronā aa gayā dil ko
bahut chāhā ki tham jaa.eñ magar aañsū kahāñ samjhe
ġhazal kahne meñ ai 'masrūr' rāteñ biit jaatī haiñ
samajhtī hai jo duniyā shā.irī ko rā.egāñ samjhe
na dil ki bebasi dekhi na aankhon ki zaban samjhe
mere shikwe ko tum bhi sirf andaz-e-bayan samjhe
mohabbat aur koi baat sunne hi nahin deti
kisi ki guftugu nikli hum un ki dastan samjhe
hamare dil se uThta hai dhuan bijli kahin TuTe
chaman ke goshe goshe ko hum apna aashiyan samjhe
mohabbat mein na daman ka bharosa hai na ashkon ka
usi ne raaz-e-dil khola jise hum raaz-dan samjhe
unhen barson mein jab dekha to rona aa gaya dil ko
bahut chaha ki tham jaen magar aansu kahan samjhe
ghazal kahne mein ai 'masrur' raaten bit jati hain
samajhti hai jo duniya shairi ko raegan samjhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.