na din apna na shab apni na dil apna na jaan apni
na din apnā na shab apnī na dil apnā na jaañ apnī
isī andāz se kaaTī hai ye umr-e-ravāñ apnī
vo us kī chashm-e-āhū ko jo dekhā surma sā maiñ ne
sukūñ khoyā ḳhirad khoī vo tarz-e-zindagāñ apnī
ruḳh-e-gulnār par ḳhāl-e-siyah us kā vo tābinda
vo ik tasvīr jaadū aur nigāh-e-nā-tavāñ apnī
kabhī muḳhtār thā hālāt par taabe thī qismat bhī
idhar to bebasī ye hai ki nā apnī na haañ apnī
pata kyā pūchhte ho pūchhte ho haal kyā mujh se
basā huuñ jis zamīñ par vo hai bastī lā-makāñ apnī
jhukā.ī thiiñ jo us ne dekh ke vo sharmgīñ āñkheñ
vahīñ se kyā huī thī ibtidā-e-dāstāñ apnī
mire ash.ār meñ poshīda haiñ sad-rang-e-rūmānī
'amīr' ab ġhaur se tum bhī suno shīrīñ zabāñ apnī
na din apna na shab apni na dil apna na jaan apni
isi andaz se kaTi hai ye umr-e-rawan apni
wo us ki chashm-e-ahu ko jo dekha surma sa main ne
sukun khoya KHirad khoi wo tarz-e-zindagan apni
ruKH-e-gulnar par KHal-e-siyah us ka wo tabinda
wo ek taswir jadu aur nigah-e-na-tawan apni
kabhi muKHtar tha haalat par tabe thi qismat bhi
idhar to bebasi ye hai ki na apni na han apni
pata kya puchhte ho puchhte ho haal kya mujh se
basa hun jis zamin par wo hai basti la-makan apni
jhukai thin jo us ne dekh ke wo sharmgin aankhen
wahin se kya hui thi ibtida-e-dastan apni
mere ashaar mein poshida hain sad-rang-e-rumani
'amir' ab ghaur se tum bhi suno shirin zaban apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.