na din pahaD lage ab na raat bhaari lage
na din pahāḌ lage ab na raat bhārī lage
na aa.e niiñd to āñkhoñ ko kyā ḳhumārī lage
ḳhushī nahīñ thī to ġham se nibāh kar lete
kisī ke saath tabī'at magar hamārī lage
koī na ho kabhī ahbāb ke karam kā shikār
mirī tarah na kisī dil pe zaḳhm-e-kārī lage
hameñ taḌaptā huā ġham meñ chhoḌne vaale
ḳhudā kare ki tujhe zindagī hamārī lage
nafas nafas hameñ roz-e-jazā se baḌh kar hai
vo shauq se jiye jis ko hayāt pyārī lage
vo mar na jaa.e to phir aur kyā kare ai 'shakeb'
vajūd apnā jise zindagī pe bhārī lage
na din pahaD lage ab na raat bhaari lage
na aae nind to aankhon ko kya KHumari lage
KHushi nahin thi to gham se nibah kar lete
kisi ke sath tabi'at magar hamari lage
koi na ho kabhi ahbab ke karam ka shikar
meri tarah na kisi dil pe zaKHm-e-kari lage
hamein taDapta hua gham mein chhoDne wale
KHuda kare ki tujhe zindagi hamari lage
nafas nafas hamein roz-e-jaza se baDh kar hai
wo shauq se jiye jis ko hayat pyari lage
wo mar na jae to phir aur kya kare ai 'shakeb'
wajud apna jise zindagi pe bhaari lage
- Book : Patta Patta Boota Boota (Pg. 117)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.