na doharao mujhe uski kami achchhi nahin lagti
na doharao mujhe uski kami achchhi nahin lagti
Aatish Raza Senjpurii
MORE BYAatish Raza Senjpurii
na doharāo mujhe us kī kamī achchhī nahīñ lagtī
adhūrī dāstān-e-zindagī achchhī nahīñ lagtī
chalo mil kar kaTe raste pe ham ik pul banā Dāleñ
hameñ bhī guftugū ab duur kī achchhī nahīñ lagtī
ye kaisā daur aaya hai ki apne ghar ke bachchoñ ko
buzurgoñ kī ab achchhī baat bhī achchhī nahīñ lagtī
'urūj-e-zindagī paayā hai jis ne pal ke ġhurbat meñ
usī insān ko ab muflisī achchhī nahīñ lagtī
mujhe jab yaad aa jaatā hai manzar ghar ke jalne kā
charāġhoñ kī bhī 'ātish' raushnī achchhī nahīñ lagtī
na doharao mujhe us ki kami achchhi nahin lagti
adhuri dastan-e-zindagi achchhi nahin lagti
chalo mil kar kaTe raste pe hum ek pul bana Dalen
hamein bhi guftugu ab dur ki achchhi nahin lagti
ye kaisa daur aaya hai ki apne ghar ke bachchon ko
buzurgon ki ab achchhi baat bhi achchhi nahin lagti
'uruj-e-zindagi paya hai jis ne pal ke ghurbat mein
usi insan ko ab muflisi achchhi nahin lagti
mujhe jab yaad aa jata hai manzar ghar ke jalne ka
charaghon ki bhi 'atish' raushni achchhi nahin lagti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.