na dur jaane na pas aane se kya milega
na duur jaane na paas aane se kyā milegā
marīz-e-ulfat ko āzmāne se kyā milegā
vo surḳh dhāga thā mannatoñ kā jise hai toḌā
abhī hazāroñ diye jalāne se kyā milegā
ab is se baḌh kar to kuchh nahīñ hai ki jaañ se jaa.eñ
na-gah sitamgar hameñ satāne se kyā milegā
yuuñ be-irāda hī bojh dil se utārā varna
ye sher likh kar tujhe sunāne se kyā milegā
tumhāre aa.e binā udāsī na jaa.e dil se
tumhārī tasvīr ko lagāne se kyā milegā
ziyāñ kā ehsās had se behad hī hogā merā
mujhe tumhāre yuuñ shahr jaane se kyā milegā
agar sune to uḌaan bhar kar maregī titlī
jo tum pe likkhā vo giit gaane se kyā milegā
tirī samā.at hai sur kī aadī na sun sakegī
jo dil pe guzre tujhe batāne se kyā milegā
mazā to tab hai ki dil kī duniyā meñ dil basā ho
yuuñ chand lamhe badan milāne se kyā milegā
tumhārī ḳhushbū agar nahīñ hai to kuchh nahīñ hai
gulāb champā se ghar sajāne se kyā milegā
tujhe savālī kī jholī bharnā kabhī na aaya
tumhāre dar ko yuuñ khaTkhaTāne se kyā milegā
hameñ na moḌo hamāre kaase meñ diid Daalo
faqīr logoñ kā dil dukhāne se kyā milegā
na dur jaane na pas aane se kya milega
mariz-e-ulfat ko aazmane se kya milega
wo surKH dhaga tha mannaton ka jise hai toDa
abhi hazaron diye jalane se kya milega
ab is se baDh kar to kuchh nahin hai ki jaan se jaen
na-gah sitamgar hamein satane se kya milega
yun be-irada hi bojh dil se utara warna
ye sher likh kar tujhe sunane se kya milega
tumhaare aae bina udasi na jae dil se
tumhaari taswir ko lagane se kya milega
ziyan ka ehsas had se behad hi hoga mera
mujhe tumhaare yun shahr jaane se kya milega
agar sune to uDan bhar kar maregi titli
jo tum pe likkha wo git gane se kya milega
teri samaat hai sur ki aadi na sun sakegi
jo dil pe guzre tujhe batane se kya milega
maza to tab hai ki dil ki duniya mein dil basa ho
yun chand lamhe badan milane se kya milega
tumhaari KHushbu agar nahin hai to kuchh nahin hai
gulab champa se ghar sajaane se kya milega
tujhe sawali ki jholi bharna kabhi na aaya
tumhaare dar ko yun khaTkhaTane se kya milega
hamein na moDo hamare kase mein did Dalo
faqir logon ka dil dukhane se kya milega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.