na ehtijaj na aawargi mein dekh mujhe
na ehtijāj na āvārgī meñ dekh mujhe
jo ho sake to mirī raushnī meñ dekh mujhe
gul-e-havas bhī hai shāḳh-e-visāl kā hissa
charāġh-e-lāla kī taaza kalī meñ dekh mujhe
vazāhatoñ se tū kuchh bhī samajh na pā.egā
kabhī ġhubār kabhī tīrgī meñ dekh mujhe
fazā-e-yād meñ tabdīliyāñ nahīñ hotīñ
jadīd shaḳhs purānī galī meñ dekh mujhe
sitāra taab zamāne kī yādgār huuñ maiñ
kisī malāl na sharmindagī meñ dekh mujhe
maiñ ek buuñd sar-e-nok-e-ḳhār-e-sahrā huuñ
tulū-e-sub.h-e-dam-e-āḳhirī meñ dekh mujhe
mire bayān ke jāh-o-jalāl par mat jā
mire ḳhayāl kī pas-māndagī meñ dekh mujhe
na ehtijaj na aawargi mein dekh mujhe
jo ho sake to meri raushni mein dekh mujhe
gul-e-hawas bhi hai shaKH-e-visal ka hissa
charagh-e-lala ki taza kali mein dekh mujhe
wazahaton se tu kuchh bhi samajh na paega
kabhi ghubar kabhi tirgi mein dekh mujhe
faza-e-yaad mein tabdiliyan nahin hotin
jadid shaKHs purani gali mein dekh mujhe
sitara tab zamane ki yaadgar hun main
kisi malal na sharmindagi mein dekh mujhe
main ek bund sar-e-nok-e-KHar-e-sahra hun
tulu-e-subh-e-dam-e-aKHiri mein dekh mujhe
mere bayan ke jah-o-jalal par mat ja
mere KHayal ki pas-mandagi mein dekh mujhe
- Book : Kulliyat-e-Asad Badayuni (Pg. 414)
- Author : Asad Badayuni
- Publication : National Council for Promotion of Urdu language-NCPUL (Asad Badayuni)
- Edition : Asad Badayuni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.