na ehtiram na dil mein adab ka hota hai
na ehtirām na dil meñ adab kā hotā hai
hamesha mas.ala nām-o-nasab kā hotā hai
maqāmī shai pe kisī ko bhī e.atibār nahīñ
hamārā maulvī tak bhī arab kā hotā hai
ziyāda farq nahīñ dahriyoñ meñ aur ham meñ
koī na koī aqīda to sab kā hotā hai
talāsh mujh ko bhī rahtī hai ik bahāne kī
aur intizār use bhī sabab kā hotā hai
dilāsa de ke yahī chup karā diyā gayā huuñ
ki jo bhī faisla hotā hai rab kā hotā hai
ziyāda umr nahīñ hai kisī patange kī
hamārā khel faqat ek shab kā hotā hai
tumhārī marzī mohabbat kaho ise ki havas
hamāre dil meñ to jazba talab kā hotā hai
haqīr chiiz kabhī ḳhaak meñ nahīñ miltī
ye haal sirf kisī muntaḳhab kā hotā hai
na ehtiram na dil mein adab ka hota hai
hamesha masala nam-o-nasab ka hota hai
maqami shai pe kisi ko bhi eatibar nahin
hamara maulwi tak bhi arab ka hota hai
ziyaada farq nahin dahriyon mein aur hum mein
koi na koi aqida to sab ka hota hai
talash mujh ko bhi rahti hai ek bahane ki
aur intizar use bhi sabab ka hota hai
dilasa de ke yahi chup kara diya gaya hun
ki jo bhi faisla hota hai rab ka hota hai
ziyaada umr nahin hai kisi patange ki
hamara khel faqat ek shab ka hota hai
tumhaari marzi mohabbat kaho ise ki hawas
hamare dil mein to jazba talab ka hota hai
haqir chiz kabhi KHak mein nahin milti
ye haal sirf kisi muntaKHab ka hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.