na faeda ho to phir be-sabab nahin aate
na fā.eda ho to phir be-sabab nahīñ aate
mizāj pūchhne vaale bhī ab nahīñ aate
maiñ apnī mauj meñ bahtī huuñ 'anjanā' har pal
mujhe zamāne ke ye taur Dhab nahīñ aate
ye sub.h-o-shām jo zulm-o-sitam kī bārish hai
tirī zamīn pe yūñhī ġhazab nahīñ aate
maiñ Dhalnā chaah ke bhī is meñ Dhal nahīñ saktī
yahāñ ke taur mujhe itne sab nahīñ aate
kabhī kabhī tirā paiġhām le ke aate the
farishte vo bhī magar tere ab nahīñ aate
maiñ sīdhī-sādī zabāñ meñ karūñ huuñ abhivādan
mujhe banāvaTī jhūThe laqab nahīñ aate
maiñ apne shabdoñ ko ādāb bhī sikhātī huuñ
ġhazal meñ lafz mire be-adab nahīñ aate
na faeda ho to phir be-sabab nahin aate
mizaj puchhne wale bhi ab nahin aate
main apni mauj mein bahti hun 'anjana' har pal
mujhe zamane ke ye taur Dhab nahin aate
ye subh-o-sham jo zulm-o-sitam ki barish hai
teri zamin pe yunhi ghazab nahin aate
main Dhalna chah ke bhi is mein Dhal nahin sakti
yahan ke taur mujhe itne sab nahin aate
kabhi kabhi tera paigham le ke aate the
farishte wo bhi magar tere ab nahin aate
main sidhi-sadi zaban mein karun hun abhiwadan
mujhe banawaTi jhuThe laqab nahin aate
main apne shabdon ko aadab bhi sikhati hun
ghazal mein lafz mere be-adab nahin aate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.