yun to hai dahr mein har dard ka har gham ka ilaj
yuuñ to hai dahr meñ har dard kā har ġham kā ilaaj
kaash ho jaa.e mirī kāhish-e-paiham kā ilaaj
aman-e-sāhil hai jo tuġhyānī-e-barham kā ilaaj
phir to mushkil nahīñ insāñ ke kisī ġham kā ilaaj
zindagī chhīnñe vaale tirī qudrat kī qasam
tere hāthoñ meñ thā bīmār shab-e-ġham kā ilaaj
haañ vahī phuul jo shabnam kī badaulat mahke
un se bhī ho na sakā girya-e-shabnam kā ilaaj
jab satāyā ġham-e-daurāñ ne to itnī pī lī
ek aalam se kyā dūsre aalam kā ilaaj
piine vaalo abhī kuchh der mere saath raho
aap kar sakte haiñ kuchh dīda-e-pur-nam kā ilaaj
ab to ehsās mujhe bhī yahī hotā hai 'azīz'
mere ash.ār meñ muzmar hai mire ġham kā ilaaj
yun to hai dahr mein har dard ka har gham ka ilaj
kash ho jae meri kahish-e-paiham ka ilaj
aman-e-sahil hai jo tughyani-e-barham ka ilaj
phir to mushkil nahin insan ke kisi gham ka ilaj
zindagi chhinne wale teri qudrat ki qasam
tere hathon mein tha bimar shab-e-gham ka ilaj
han wahi phul jo shabnam ki badaulat mahke
un se bhi ho na saka girya-e-shabnam ka ilaj
jab sataya gham-e-dauran ne to itni pi li
ek aalam se kya dusre aalam ka ilaj
pine walo abhi kuchh der mere sath raho
aap kar sakte hain kuchh dida-e-pur-nam ka ilaj
ab to ehsas mujhe bhi yahi hota hai 'aziz'
mere ashaar mein muzmar hai mere gham ka ilaj
- Book : Mehraab (Pg. 23)
- Author : Aziiz vaarsii
- Publication : qaumi council bara-e-farogh urdu (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.