na faza-e-ishq mein kaif hai na wo husn-e-jalwa-e-yar hai
na fazā-e-ishq meñ kaif hai na vo husn-e-jalva-e-yār hai
na tajalliyoñ meñ mazā rahā na vo zor-e-barq-o-sharār hai
na ghaTā uThī na havā chalī na ḳhalish miTī na kalī khilī
ye fareb-e-jalva-e-zauq hai ye tilism-e-shauq-e-bahār hai
kabhī ashk bā.is-e-ranj-o-ġham kabhī aah maujib-e-sad-alam
na ye ashk vaj.h-e-sukūn-e-dil na ye aah vaj.h-e-qarār hai
jo asīr-e-ranj-o-alam nahīñ jo fidā-e-ulfat-o-ġham nahīñ
na vo qadr-dān-e-jamāl-e-gul na vo āshnā-e-bahār hai
jo karam huā to sitam nahīñ jo sitam huā to karam nahīñ
ye ajiib maslak-e-husn hai ye ajab adā kā shi.ār hai
na to rut phirī na kañval khilā na vo daur-e-sāġhar-e-mai chalā
yahī kah ke baaġh se vo uThā jo adā-shanās-e-bahār hai
vahī ranj-o-ġham haiñ mujhe 'vafā' vahī soz bhī vahī saaz bhī
na sukūn hai na sukūt hai na shakeb hai na qarār hai
na faza-e-ishq mein kaif hai na wo husn-e-jalwa-e-yar hai
na tajalliyon mein maza raha na wo zor-e-barq-o-sharar hai
na ghaTa uThi na hawa chali na KHalish miTi na kali khili
ye fareb-e-jalwa-e-zauq hai ye tilism-e-shauq-e-bahaar hai
kabhi ashk bais-e-ranj-o-gham kabhi aah maujib-e-sad-alam
na ye ashk wajh-e-sukun-e-dil na ye aah wajh-e-qarar hai
jo asir-e-ranj-o-alam nahin jo fida-e-ulfat-o-gham nahin
na wo qadr-dan-e-jamal-e-gul na wo aashna-e-bahaar hai
jo karam hua to sitam nahin jo sitam hua to karam nahin
ye ajib maslak-e-husn hai ye ajab ada ka shiar hai
na to rut phiri na kanwal khila na wo daur-e-saghar-e-mai chala
yahi kah ke bagh se wo uTha jo ada-shanas-e-bahaar hai
wahi ranj-o-gham hain mujhe 'wafa' wahi soz bhi wahi saz bhi
na sukun hai na sukut hai na shakeb hai na qarar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.