na furqat ne luTa na aahon ne mara
na furqat ne luuTā na aahoñ ne maarā
mohabbat bhare ishtibāhoñ ne maarā
mire dil ko un kī nigāhoñ ne maarā
inhīñ do mohabbat-panāhoñ ne maarā
mohabbat kī in sair-gāhoñ ne maarā
tirī multafit sī nigāhoñ ne maarā
tumhārī nigāhoñ kī be-shak ḳhatā kyā
mujhe ḳhud hī merī nigāhoñ ne maarā
pareshāñ pareshāñ vo ma.asūm nazreñ
ġham-e-ishq ke dād-ḳhvāhoñ ne maarā
duhā.ī hai ai manzil-e-husn-e-jānāñ
mohabbat kī sunsān rāhoñ ne maarā
na dekho mohabbat se ā.īna dekho
ki aisī hī mujh ko nigāhoñ ne maarā
vo kyā qadr-o-qīmat tire ġham kī jāneñ
jinheñ ziist kī aam rāhoñ ne maarā
mirī ehtiyāt-e-junūñ haa.e 'bāsit'
na manzil ne luuTā na rāhoñ ne maarā
na furqat ne luTa na aahon ne mara
mohabbat bhare ishtibahon ne mara
mere dil ko un ki nigahon ne mara
inhin do mohabbat-panahon ne mara
mohabbat ki in sair-gahon ne mara
teri multafit si nigahon ne mara
tumhaari nigahon ki be-shak KHata kya
mujhe KHud hi meri nigahon ne mara
pareshan pareshan wo masum nazren
gham-e-ishq ke dad-KHwahon ne mara
duhai hai ai manzil-e-husn-e-jaanan
mohabbat ki sunsan rahon ne mara
na dekho mohabbat se aaina dekho
ki aisi hi mujh ko nigahon ne mara
wo kya qadr-o-qimat tere gham ki jaanen
jinhen zist ki aam rahon ne mara
meri ehtiyat-e-junun hae 'basit'
na manzil ne luTa na rahon ne mara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.