na gham hai shadmani mein na gham mein shadmani hai
na gham hai shadmani mein na gham mein shadmani hai
Nazeer Mohammad Arzu Jaipuri
MORE BYNazeer Mohammad Arzu Jaipuri
na ġham hai shādmānī meñ na ġham meñ shādmānī hai
ye merā muḳhtasar qissa hai ye merī kahānī hai
tumhārī yaad ko kaise maiñ apne se judā kar duuñ
ye mere ḳhānamāñ-barbād dil kī ik nishānī hai
mujhe tākīd hai naqsh-e-qadam par sajde karne kī
mirī bigḌī huī qismat unheñ shāyad banānī hai
bas ik tasvīr-e-nātiq huuñ tilism-e-etibārī meñ
na maiñ huuñ zindagānī kā na merī zindagānī hai
vafādārī kā matlab bhī samajh loge zarā Thahro
abhī nām-e-ḳhudā kamsin ho āġhāz-e-javānī hai
adū kā naam sunte hī ye tum kyoñ sahme jaate ho
mujhe koī shikāyat hai na koī bad-gumānī hai
na kar arz-e-tamannā 'ārzū' kyā tū nahīñ vāqif
kabhī us jaur-parvar ne kisī kī baat maanī hai
na gham hai shadmani mein na gham mein shadmani hai
ye mera muKHtasar qissa hai ye meri kahani hai
tumhaari yaad ko kaise main apne se juda kar dun
ye mere KHanaman-barbaad dil ki ek nishani hai
mujhe takid hai naqsh-e-qadam par sajde karne ki
meri bigDi hui qismat unhen shayad banani hai
bas ek taswir-e-natiq hun tilism-e-etibari mein
na main hun zindagani ka na meri zindagani hai
wafadari ka matlab bhi samajh loge zara Thahro
abhi nam-e-KHuda kamsin ho aaghaz-e-jawani hai
adu ka nam sunte hi ye tum kyon sahme jate ho
mujhe koi shikayat hai na koi bad-gumani hai
na kar arz-e-tamanna 'arzu' kya tu nahin waqif
kabhi us jaur-parwar ne kisi ki baat mani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.