na gaya mar ke bhi nazron mein samana apna
na gayā mar ke bhī nazroñ meñ samānā apnā
gor ne mardum-e-dīda mujhe jaanā apnā
aise so.eñge shab-e-hijr ke jaage ik roz
hogā mahshar meñ bhī dushvār jagānā apnā
mil ke dil us se milā ham se na phir vā-e-nasīb
niklā begāna vo ham ne jise jaanā apnā
din kahīñ raat kahīñ sub.h kahīñ shaam kahīñ
ho to batlā.eñ kahīñ Thor-Thikāna apnā
terā ehsān na bhūlūñgā kabhū shauq-e-jagā
kaam thā terā hī yaad us ko dilānā apnā
na gaya mar ke bhi nazron mein samana apna
gor ne mardum-e-dida mujhe jaana apna
aise soenge shab-e-hijr ke jage ek roz
hoga mahshar mein bhi dushwar jagana apna
mil ke dil us se mila hum se na phir wa-e-nasib
nikla begana wo hum ne jise jaana apna
din kahin raat kahin subh kahin sham kahin
ho to batlaen kahin Thor-Thikana apna
tera ehsan na bhulunga kabhu shauq-e-jaga
kaam tha tera hi yaad us ko dilana apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.