na ghar mein chain na bahar sukun kahan jaen
na ghar meñ chain na bāhar sukūñ kahāñ jaa.eñ
ham ahl-e-dard ham ahl-e-junūñ kahāñ jaa.eñ
zamīn-e-dasht balā āsmāñ sarāb-āsā
bikhar bhī jaa.eñ jo mānind-e-ḳhūñ kahāñ jaa.eñ
musāfiroñ ko huī shaam dasht-e-ġhurbat meñ
siyah huā falak-e-nīlgūñ kahāñ jaa.eñ
us anjuman sī huī ab to bazm-e-yārāñ bhī
ham aise log bahāl-e-zubūñ kahāñ jaa.eñ
ye pattharoñ kā nagar dasht-e-shab meñ hai mahsūr
chaleñ bhī le ke jo qindīl-e-ḳhūñ kahāñ jaa.eñ
kahāñ zamīn se miltā hai āsmān 'salām'
nazar-fareb ufuq ke fusūñ kahāñ jaa.eñ
na ghar mein chain na bahar sukun kahan jaen
hum ahl-e-dard hum ahl-e-junun kahan jaen
zamin-e-dasht bala aasman sarab-asa
bikhar bhi jaen jo manind-e-KHun kahan jaen
musafiron ko hui sham dasht-e-ghurbat mein
siyah hua falak-e-nilgun kahan jaen
us anjuman si hui ab to bazm-e-yaran bhi
hum aise log bahaal-e-zubun kahan jaen
ye pattharon ka nagar dasht-e-shab mein hai mahsur
chalen bhi le ke jo qindil-e-KHun kahan jaen
kahan zamin se milta hai aasman 'salam'
nazar-fareb ufuq ke fusun kahan jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.