na ghar nasib ho koi na saeban rahe
na ghar nasīb ho koī na sā.ebān rahe
yahī bahut hai mire sar pe āsmān rahe
mire buzurgoñ kā ye shauq bhī nirālā thā
haveliyoñ se juḌī koī dāstān rahe
mire baḌoñ pe gumāñ ho tire charāġhoñ kā
havā kā zor rahe aur mirī uḌaan rahe
mirī galī ke shivāle meñ kīrtan bhī ho
tire paḌos kī masjid meñ bhī azaan rahe
siyāh raah meñ 'jāved' bāñTtā huuñ charāġh
ki raushnī se na ḳhālī koī makān rahe
na ghar nasib ho koi na saeban rahe
yahi bahut hai mere sar pe aasman rahe
mere buzurgon ka ye shauq bhi nirala tha
haweliyon se juDi koi dastan rahe
mere baDon pe guman ho tere charaghon ka
hawa ka zor rahe aur meri uDan rahe
meri gali ke shiwale mein kirtan bhi ho
tere paDos ki masjid mein bhi azan rahe
siyah rah mein 'jawed' banTta hun charagh
ki raushni se na KHali koi makan rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.