na gila tujhse na kuchh hai falak-e-pir se ranj
na gila tujhse na kuchh hai falak-e-pir se ranj
Zain-ul-Abideen Khan Arif
MORE BYZain-ul-Abideen Khan Arif
na gilā tujh se na kuchh hai falak-e-pīr se ranj
jo pahuñchtā hai so mujh ko mirī taqdīr se ranj
ho ga.ī is se sivā maut kī jaldī se ḳhushī
jis qadar ham ko huā thā tirī tāḳhīr se ranj
shab ko ghabrā ke vo ulTe ga.e aġhyār ke ghar
un ko kyā mujh ko huā aah kī tāsīr se ranj
ham se har roz ulajhnā jo yahī hai us kā
ho ke rah degā tirī zulf-e-girah-gīr se ranj
surḳh-rū ham ko rakhā be-asarī ne 'ārif'
us ko pahuñchā na kabhī nāla-e-shab-gīr se ranj
na gila tujh se na kuchh hai falak-e-pir se ranj
jo pahunchta hai so mujh ko meri taqdir se ranj
ho gai is se siwa maut ki jaldi se KHushi
jis qadar hum ko hua tha teri taKHir se ranj
shab ko ghabra ke wo ulTe gae aghyar ke ghar
un ko kya mujh ko hua aah ki tasir se ranj
hum se har roz ulajhna jo yahi hai us ka
ho ke rah dega teri zulf-e-girah-gir se ranj
surKH-ru hum ko rakha be-asari ne 'arif'
us ko pahuncha na kabhi nala-e-shab-gir se ranj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.