na girja church mandir masjid-o-maktab mein hoti hai
na girjā church mandir masjid-o-maktab meñ hotī hai
tashaddud jaḌ tirī dar-asl har maz.hab meñ hotī hai
hamāre zehn-o-dil meñ baat to be-ḳhauf aatī hai
magar laġhzish jo hotī hai zabān-o-lab meñ hotī hai
agar 'ohda na ho to aadmī insān ho jaa.e
ye jo maġhrūriyat hotī hai ye mansab meñ hotī hai
jo rāh-e-haq hai us raste pe quvvat rahnumā.ī kī
kabhī joseph meñ hotī hai kabhī jacob meñ hotī hai
vahīñ tahzīb hotī hai jahāñ tahzīb vaale hoñ
na ye pachchhim meñ hotī hai na ye pūrab meñ hotī hai
kahīñ bhī ho natīja jang kā achchhā nahīñ hotā
laḌā.ī jo bhī hotī hai vo be-matlab meñ hotī hai
ye sab qismat kī bāteñ hai vagarna kuchh na kuchh ḳhūbī
huā kartī hai naukar meñ bhī jo sāhab meñ hotī hai
tamāshā karne vaale log jaate haiñ siyāsat meñ
hunar-mandī kahāñ har shaḳhs ke kartab meñ hotī hai
na girja church mandir masjid-o-maktab mein hoti hai
tashaddud jaD teri dar-asl har mazhab mein hoti hai
hamare zehn-o-dil mein baat to be-KHauf aati hai
magar laghzish jo hoti hai zaban-o-lab mein hoti hai
agar 'ohda na ho to aadmi insan ho jae
ye jo maghruriyat hoti hai ye mansab mein hoti hai
jo rah-e-haq hai us raste pe quwwat rahnumai ki
kabhi joseph mein hoti hai kabhi jacob mein hoti hai
wahin tahzib hoti hai jahan tahzib wale hon
na ye pachchhim mein hoti hai na ye purab mein hoti hai
kahin bhi ho natija jang ka achchha nahin hota
laDai jo bhi hoti hai wo be-matlab mein hoti hai
ye sab qismat ki baaten hai wagarna kuchh na kuchh KHubi
hua karti hai naukar mein bhi jo sahab mein hoti hai
tamasha karne wale log jate hain siyasat mein
hunar-mandi kahan har shaKHs ke kartab mein hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.