na gul KHandan na bulbul naghma-KHwan hai
na gul ḳhandāñ na bulbul naġhma-ḳhvāñ hai
are gulchīñ ye nazm-e-gulsitāñ hai
chaman meñ phir banātā huuñ nasheman
sunā hai muzmahil barq-e-tapāñ hai
jise kahte the ham sone kī chiḌiyā
ye bhārat kyā vahī hindostāñ hai
sadā aatī hai paiham Thokaroñ se
ye sang-e-rahguzar manzil-rasāñ hai
ġhalat samt-e-safar kā hai ye hāsil
na jaada hai na manzil kā nishāñ hai
mujhe tār-e-shab-e-furqat kā ġham kyā
baham ik sham.a-e-yād-e-raftagāñ hai
sunā.eñ kis ko hāl-e-dil ham apnā
na mahram hai na koī rāz-dāñ hai
tirī yādoñ kā mausam hai nazar meñ
kahīñ sahrā meñ ik dariyā ravāñ hai
na gul KHandan na bulbul naghma-KHwan hai
are gulchin ye nazm-e-gulsitan hai
chaman mein phir banata hun nasheman
suna hai muzmahil barq-e-tapan hai
jise kahte the hum sone ki chiDiya
ye bhaarat kya wahi hindostan hai
sada aati hai paiham Thokaron se
ye sang-e-rahguzar manzil-rasan hai
ghalat samt-e-safar ka hai ye hasil
na jada hai na manzil ka nishan hai
mujhe tar-e-shab-e-furqat ka gham kya
baham ek shama-e-yaad-e-raftagan hai
sunaen kis ko haal-e-dil hum apna
na mahram hai na koi raaz-dan hai
teri yaadon ka mausam hai nazar mein
kahin sahra mein ek dariya rawan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.