na gul khile hain na gardish mein jam aaya hai
na gul khile haiñ na gardish meñ jaam aaya hai
ye kaisā ab ke chaman meñ nizām aaya hai
amal se zarf se īsār se mohabbat se
hamārā dil hī zamāne ke kaam aaya hai
atā huā hai jinheñ azm sarfaroshī kā
unhīñ ko dār-o-rasan kā salām aaya hai
libās-e-sharm-o-hayā nazr-e-maslahat kar ke
ye kaun dekhnā bālā-e-bām aaya hai
ham apne dard ko bhī dard kah nahīñ sakte
koī batā.e ye kaisā maqām aaya hai
tilism TuuT gayā hai 'sahar' judā.ī kā
nigāh-e-mast kā jab bhī payām aaya hai
na gul khile hain na gardish mein jam aaya hai
ye kaisa ab ke chaman mein nizam aaya hai
amal se zarf se isar se mohabbat se
hamara dil hi zamane ke kaam aaya hai
ata hua hai jinhen azm sarfaroshi ka
unhin ko dar-o-rasan ka salam aaya hai
libas-e-sharm-o-haya nazr-e-maslahat kar ke
ye kaun dekhna baala-e-baam aaya hai
hum apne dard ko bhi dard kah nahin sakte
koi batae ye kaisa maqam aaya hai
tilism TuT gaya hai 'sahar' judai ka
nigah-e-mast ka jab bhi payam aaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.