na gul mein na ab gulsitan hi mein DhunDo
na gul meñ na ab gulsitāñ hī meñ DhūñDo
mohabbat ko bas āstāñ hī meñ DhūñDo
nishānī mohabbat kī tum ko milegī
kisī ek dhuñdle nishāñ hī meñ DhūñDo
pata shahr-e-dil kī bahāroñ kā ab tum
kahīñ bām-o-dar kī ḳhizāñ hī meñ DhūñDo
agar DhūñDhnā hai vajūd apnā tum ko
kisī dil ke ujḌe makāñ hī meñ DhūñDo
milegī añdhere meñ ujlī kiran bhī
use soch kī kahkashāñ hī meñ DhūñDo
vafā kī kahānī meñ DhūñDo mujhe tum
kabhī hijr kī dāstāñ hī meñ DhūñDo
ho jis par yaqīñ tum ko 'shāhīñ' azal se
use apne vahm-o-gumāñ hī meñ DhūñDo
na gul mein na ab gulsitan hi mein DhunDo
mohabbat ko bas aastan hi mein DhunDo
nishani mohabbat ki tum ko milegi
kisi ek dhundle nishan hi mein DhunDo
pata shahr-e-dil ki bahaaron ka ab tum
kahin baam-o-dar ki KHizan hi mein DhunDo
agar DhunDhna hai wajud apna tum ko
kisi dil ke ujDe makan hi mein DhunDo
milegi andhere mein ujli kiran bhi
use soch ki kahkashan hi mein DhunDo
wafa ki kahani mein DhunDo mujhe tum
kabhi hijr ki dastan hi mein DhunDo
ho jis par yaqin tum ko 'shahin' azal se
use apne wahm-o-guman hi mein DhunDo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.