Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na gul na sarw miyan-e-bahaar hota hai

Meer Kallu Arsh

na gul na sarw miyan-e-bahaar hota hai

Meer Kallu Arsh

MORE BYMeer Kallu Arsh

    na gul na sarv miyān-e-bahār hotā hai

    hamārī ḳhaak se paidā chinār hotā hai

    kabhī jo jalva-e-ruḳhsār-e-yār hotā hai

    charāġh-e-tūr charāġh-e-mazār hotā hai

    uThā janāza jo merā qazā lagī kahne

    ki jo piyāda hai āḳhir savār hotā hai

    milā ke ḳhaak meñ tan ko ga.ī bahisht meñ ruuh

    kisī kaun zamāne meñ yaar hotā hai

    bajā hai taḳht-e-sulaimāñ pe bhī jo maarī laat

    har ek murġh yahāñ tājdār hotā hai

    na apne ghar meñ mujhe ġhair se milā ai huur

    bahisht meñ ye azāb-e-fishār hotā hai

    'urūj 'arsh' jo manzūr hai jalā dil ko

    ki aag lagtī hai jab sard anaar hotā hai

    na gul na sarw miyan-e-bahaar hota hai

    hamari KHak se paida chinar hota hai

    kabhi jo jalwa-e-ruKHsar-e-yar hota hai

    charagh-e-tur charagh-e-mazar hota hai

    uTha janaza jo mera qaza lagi kahne

    ki jo piyaada hai aaKHir sawar hota hai

    mila ke KHak mein tan ko gai bahisht mein ruh

    kisi ka kaun zamane mein yar hota hai

    baja hai taKHt-e-sulaiman pe bhi jo mari lat

    har ek murgh yahan tajdar hota hai

    na apne ghar mein mujhe ghair se mila ai hur

    bahisht mein ye azab-e-fishaar hota hai

    'uruj 'arsh' jo manzur hai jala dil ko

    ki aag lagti hai jab sard anar hota hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now