na hai leader na hai member na hai rahbar apna
na hai leader na hai member na hai rahbar apna
Hameed Dilkash Khandwi
MORE BYHameed Dilkash Khandwi
na hai leader na hai member na hai rahbar apnā
ek bachcha bhī to kartā nahīñ favour apnā
sirf susrā hī nahīñ mūñchh machhandar apnā
ek se ek hai saalā bhī dhulandar apnā
nange bhūke paḌe rahte haiñ yahāñ barsoñ se
yuuñ hī din-rāt chalā kartā hai langar apnā
raaj meñ aap ke ham pyāse marā karte haiñ
naddī naala hai na dariyā na samundar apnā
bas isī Dar se hameñ niiñd nahīñ aatī hai
koī dushman na karā de kahīñ murder apnā
vaqt ab bhī hai ḳhurāfāt ko chhoḌo varna
dushman-e-qaum banā deñge kachūmar apnā
ek bhī baal na rah pā.egā sar meñ sun le
haath meñ le ke kahā us ne slipper apnā
na hai leader na hai member na hai rahbar apna
ek bachcha bhi to karta nahin fawour apna
sirf susra hi nahin munchh machhandar apna
ek se ek hai sala bhi dhulandar apna
nange bhuke paDe rahte hain yahan barson se
yun hi din-raat chala karta hai langar apna
raj mein aap ke hum pyase mara karte hain
naddi nala hai na dariya na samundar apna
bas isi Dar se hamein nind nahin aati hai
koi dushman na kara de kahin murder apna
waqt ab bhi hai KHurafat ko chhoDo warna
dushman-e-qaum bana denge kachumar apna
ek bhi baal na rah paega sar mein sun le
hath mein le ke kaha us ne slipper apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.